Amir Ameer

zarur uski nazar mujh pe hi gaDi hui hai

Amir Ameer

Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan

1987
zarūr us kī nazar mujh pe hī gaḌī huī hai
maiñ jym se aa rahā huuñ āstīñ chaḌhī huī hai
mujhe zarā sā burā kah diyā to is se kyā
vo itnī baat pe maañ baap se laḌī huī hai
use zarūrat-e-parda zarā ziyāda hai
ye vo bhī jāntī hai jab se vo baḌī huī hai
vo merī dī huī nthunī pahan ke ghūmtī hai
tabhī vo in dinoñ kuchh aur nak-chaḌhī huī hai
muāhidoñ meñ lachak bhī zarūrī hotī hai
par is kī suuī vahīñ kī vahīñ aḌī huī hai
vo tie bāñdhtī hai aur khīñch letī hai
ye kaise vaqt use pyaar kī paḌī huī hai
ḳhudā ke vāste likhte raho ki us ne 'amīr'
har ik ġhazal tirī sau sau dafa paḌhī huī hai
Top Urdushayar.com