Shabbeer Ahmad Shad

yunhi jo karte rahenge mushahida dil ka

Shabbeer Ahmad Shad

Bhiwandi, Maharashtra, India

1951
yūñhī jo karte raheñge mushāhida dil kā
chamak uThegā kisī roz aa.ina dil kā
hamārī raah meñ dīvār uThā ke duniyā ne
qadam qadam pe baḌhāyā hai hausla dil kā
maqām aisā bhī aatā hai rāh-e-ulfat meñ
qubūl aql bhī kartī hai mashvara dil kā
bhaTak na jaa.e kahīñ dhaḌkanoñ ke jañgal meñ
dimāġh DhūñDne niklā hai rāsta dil kā
ye hichkiyoñ kā tasalsul bilā-sabab to nahīñ
zarūr dil se tumhāre hai silsila dil kā
bas itnī baat pe ham ne shikast kar lī qubūl
kisī ne de diyā chupke se vāsta dil kā
tum apne 'shād' se hargiz na bad-gumāñ honā
ki bad-gumānī se baḌhtā hai fāsla dil kā
Top Urdushayar.com