saarī duniyā kī nigāhoñ meñ tamāsha ho gayā
ishq tum se kyā huā hai maiñ to rusvā ho gayā
saa.e meñ ḳhushiyoñ ke kitne log mere saath the
dhuup ġham kī phailte hī maiñ akelā ho gayā
ab kisī se ḳhair-ḳhvāhī kī nahīñ rakhnā ummīd
aadmī vaisā nahīñ thā aaj jaisā ho gayā
raaz jitne the sabhī siine meñ mere dafn the
dostoñ meñ kis tarah phir is kā charchā ho gayā
sochiye is par bhī jo fursat mile to baiTh kar
kyā huā vīrān kyuuñ gulshan hamārā ho gayā
ho gayā maġhrūr apnī lau pe ghar kā har charāġh
raushnī ke phail jaane se añdherā ho gayā
nāma-e-a.amāl merā 'shād' raushan kar gayā
ek hī qatra nadāmat kā sitāra ho gayā