Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

fitna-e-rozgar ki baaten

Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

fitna-e-rozgār kī bāteñ
aisī haiñ jaise yaar kī bāteñ
hijr meñ vasl-e-yār kī bāteñ
haiñ ḳhizāñ meñ bahār kī bāteñ
lāla-o-gul kai zikr se behtar
ek jān-e-bahār kī bāteñ
chheḌ ke saath nok jhok bhī hai
gul se hotī haiñ ḳhaar kī bāteñ
sab samajhte haiñ maiñ kahūñ na kahūñ
is dil-e-be-qarār kī bāteñ
chheḌ detā huuñ dil-lagī ke liye
vasl meñ intizār kī bāteñ
jo na tum rūThte to kar lete
aur do chaar pyaar kī bāteñ
nañg haiñ azm-e-mustaqil ke liye
dahr-nā-pā.edār kī bāteñ
dil-nashīñ haiñ basant meñ 'kaifī'
ye sharāb-o-ḳhumār kī bāteñ
Top Urdushayar.com