Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana ek hai

Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

daur-e-nigāh-e-sāqī-e-mastāna ek hai
paimāne do haiñ gardish-e-paimāna ek hai
piitā huuñ ghūñT ghūñT meñ sāñsoñ ke saath saath
saaqī kā aur umr kā paimāna ek hai
jis ashk meñ ho ashk-e-nadāmat vahī hai ashk
motī bahut haiñ gauhar-e-yak-dāna ek hai
kasrat kī shaan aur hai vahdat kā rañg aur
ābād hai jo ek to vīrāna ek hai
tafrīq husn-e-sham-o-gul meñ zarā nahīñ
soz-o-gudāz-e-bulbul-o-parvāna ek hai
jab sun liyā firāq kā qissa to kah diyā
majnūñ kā aur aap kā afsāna ek hai
tum ko agar hai apnī dil-ārā.iyoñ pe naaz
'kaifī' bhī apne naam kā mastāna ek hai
Top Urdushayar.com