Najmi Siddiqui

saza se bach ke kai bar shatiron ki tarah

Najmi Siddiqui

sazā se bach ke ka.ī baar shātiroñ kī tarah
maiñ apne sāmne aayā huuñ mujrmoñ kī tarah
vo zaḳhm jin kā badan par nishāñ nahīñ paḌtā
vahī to khulte haiñ sapnoñ meñ rauzanoñ kī tarah
har ek moḌ pe tajdīd-e-ahd lāzim thā
vo shaḳhs thā koī pur-pech rāstoñ kī tarah
yahī ḳhayāl mujhe aa ke chīr-phāḌ gayā
mile haiñ dost bhī yūsuf ke bhā.iyoñ kī tarah
zamīn paañv tale hai na āsmāñ sar par
paḌe haiñ ghar meñ ka.ī log be-gharoñ kī tarah
gayā to kuchh na rahā mere paas jiine ko
ġhanīm thā vo jo aayā thā dostoñ kī tarah
ye aur baat ki zāhir meñ kuchh nahīñ lagte
buland-o-bālā haiñ kuchh log parbatoñ kī tarah
vo rāste jo tire saath chal ke tai hote
lipaT ga.e mire paañv meñ dā.eroñ kī tarah
palak jhapakne meñ ik umr kaT ga.ī 'najmī'
guzar ga.e haiñ ka.ī saal sā.atoñ kī tarah
Top Urdushayar.com