jab mohabbat kā kisī shai pe asar ho jaa.e
ek vīrān makāñ boltā ghar ho jaa.e
maiñ huuñ sūraj-mukhī tū merā hai dilbar sūraj
tū jidhar jaa.e mirā ruḳh bhī udhar ho jaa.e
ranj-o-ġham aish-o-ḳhushī jis ke liye ek hī hoñ
umr us shaḳhs kī shāhoñ sī basar ho jaa.e
jo bhī dukh dard musībat kā piye vish hañs kar
kyuuñ na suqrāt kī sūrat vo amar ho jaa.e
lauT aao jo kabhī raam kī sūrat tum to
man kā sunsān avadh diip nagar ho jaa.e
khā ke patthar bhī jo muskān bikhere har-sū
bāġh-e-ālam kā vo phaldār shajar ho jaa.e
ham ne jaanā hai yahī aa ke jahāñ meñ 'darvesh'
honā chāhe jo na hargiz vo bashar ho jaa.e