darvesh bharti

jab se kisi se dard ka rishta nahin raha

darvesh bharti

Jhang, Punjab, Pakistan

1937
jab se kisī se dard kā rishta nahīñ rahā
jiinā hamārā tab se hī jiinā nahīñ rahā
tere ḳhayāl-o-ḳhvāb hī rahte haiñ ās-pās
tanhā.ī meñ bhī maiñ kabhī tanhā nahīñ rahā
aañsū bahe haiñ itne kisī ke firāq meñ
āñkhoñ meñ ik bhī vasl kā sapnā nahīñ rahā
darpesh aa rahe haiñ vo hālāt āj-kal
apnoñ ko apnoñ par hī bharosa nahīñ rahā
nafrat kā zahr phailā hai lekin kisī meñ aaj
mil baiTh sochne kā bhī jazba nahīñ rahā
dār-o-madār-e-zindagī jis par thā vo bhī to
jaisā samajhte the use vaisā nahīñ rahā
ye nasl-e-nau hai itnī mohazzab ki is meñ aaj
'darvesh' guftugū kā salīqa nahīñ rahā
Top Urdushayar.com