darvesh bharti

dard auron ka dil mein gar rakhiye

darvesh bharti

Jhang, Punjab, Pakistan

1937
dard auroñ kā dil meñ gar rakhiye
be-ġharaz ho ke umr-bhar rakhiye
ho hī jā.eñgī mushkileñ āsān
aql sā ek rāhbar rakhiye
paañv Thahreñ ḳhayāl chalte raheñ
ek aisā bhī to safar rakhiye
us ke dam se hai aabrū kā vajūd
apne kirdār par nazar rakhiye
ho ishāra ki bah sake na havā
aañkh meñ itnā to asar rakhiye
dostī meñ hai shart ye 'darvesh'
zikr maiñ tū kā taaq par rakhiye
Top Urdushayar.com