darvesh bharti

KHush-fahmi-e-hunar ne sambhalne nahin diya

darvesh bharti

Jhang, Punjab, Pakistan

1937
ḳhush-fahmī-e-hunar ne sambhalne nahīñ diyā
mujh ko mirī anā hī ne phalne nahīñ diyā
chāhā na.e se rītī-rivājoñ meñ maiñ Dhalūñ
lekin rivāyatoñ ne hī Dhalne nahīñ diyā
ek ek shai badaltī ga.ī mere ās-pās
hālāt ne mujhe hī badalne nahīñ diyā
chalnā thā saath saath hameñ umr-bhar magar
nā-pā.edār umr ne chalne nahīñ diyā
dil mai-kade kī samt chalā thā magar use
is rāste pe aql ne chalne nahīñ diyā
anjām aarzū kā burā hai bas is liye
dil meñ kabhī charāġh ye jalne nahīñ diyā
'darvesh' be-qarār rahā dil tamām-umr
mauqa sukūñ kā ek bhī pal ne nahīñ diyā
Top Urdushayar.com