phuul hañse aur shabnam roī aa.ī sabā muskā.ī dhuup
yaad kā sūraj zehn meñ chamkā palkoñ par lahrā.ī dhuup
gaañv kī dhartī bāñjh huī hai panghaT suunā suunā hai
pīpal ke pattoñ meñ chhup kar DhūñDhtī hai tanhā.ī dhuup
koī kiran bhī kaam na aa.ī jīvan ke añdhiyāre meñ
mere ghar ke bāhar lekin letī rahī añgḌā.ī dhuup
ham to sudh-budh kho baiThe the hastī ke vīrāne meñ
jaane kab zulfeñ lahrā.īñ jaane kab sañvlā.ī dhuup