nafas nafas meñ huuñ ik bū-e-sad-gulāb liye
maiñ jāgtā huuñ nigāhoñ meñ tere ḳhvāb liye
hamāre ahd ke logoñ ko kyā huā yaaro
vo jī rahe haiñ magar ret kā sarāb liye
maiñ bhuul saktā nahīñ hasrat-e-nazar us kī
vo ek shaḳhs jo guzrā hai iztirāb liye
udaas raat kī tārīkiyoñ ne chheḌā hai
ab aa bhī jaao nigāhoñ meñ māhtāb liye
ye chilchilātī huī dhuup jal rahā hai badan
guzar rahī hai yūñhī hasrat-e-sahāb liye