Shozeb Kashir

bahta hai koi gham ka samundar mere andar

Shozeb Kashir

Poonch, Jammu and Kashmir, India

bahtā hai koī ġham kā samundar mire andar
chalte haiñ tirī yaad ke ḳhanjar mire andar
kohrām machā rahtā hai aksar mire andar
chaltī hai tire naam kī sarsar mire andar
gumnām sī ik jhiil huuñ ḳhāmosh farāmosh
mat pheñk are yaad ke kañkar mire andar
jannat se nikālā huā aadam huuñ maiñ aadam
baaqī vahī laġhzish kā hai unsur mire andar
kahte haiñ jise shām-e-firāq ahl-e-mohabbat
Thahrā hai isī shaam kā manzar mire andar
aayā thā koī shahr-e-mohabbat se sitamgar
phir lauT gayā aag jalā kar mire andar
ehsās kā banda huuñ maiñ iḳhlās kā shaidā
hargiz nahīñ hirs-o-havas zar mire andar
kaise bhī hoñ hālāt nimaT letā huuñ hañs kar
sañgīn natā.ej kā nahīñ Dar mire andar
maiñ puure dil-o-jān se ho jaatā huuñ us kā
kar letā hai jab shaḳhs koī ghar mire andar
maiñ kyā huuñ mirī hastī hai majmua-e-azdād
tartīb meñ hai kaun sā jauhar mire andar
kuḌhtā hai kabhī dil kabhī ruk jaatī haiñ sāñseñ
har vaqt bapā rahtā hai mahshar mire andar
ham-shakl mirā kaun hai ham-zād-o-hamrāz
rahtā hai koī mujh sā hī paikar mire andar
jab jab koī uftād paḌī khul gayā 'kāshir'
ilhām kā ik aur nayā dar mire andar
Top Urdushayar.com