dil meñ un kī yādoñ ke jab diye jalāte haiñ
dāman-e-taḳhayyul par phuul muskurāte haiñ
tum shikast-e-dil par kyoñ is qadar pareshāñ ho
ā.īnoñ kā kyā vo to yuuñ hī TuuT jaate haiñ
aap se to qurbat meñ fāsle rahe qaa.em
log to qarīb aa kar raah bhuul jaate haiñ
raat yuuñ guzartī hai kashmakash ke māroñ kī
ik diyā jalāte haiñ ik diyā bujhāte haiñ
jab nigāh paḌtī hai zindagī ke chehre par
āñkheñ DabDabātī haiñ hoñT thartharāte haiñ
yaad se muzayyan hai aaj bhī dil-e-'sumbul'
log biite lamhoñ ko kis tarah bhulāte haiñ