Shozeb Kashir

sahra mein kaDi dhup ka Dar hote hue bhi

Shozeb Kashir

Poonch, Jammu and Kashmir, India

sahrā meñ kaḌī dhuup kā Dar hote hue bhī
saa.e se gurezāñ huuñ shajar hote hue bhī
maañ baap kā manzūr-e-nazar hote hue bhī
mahrūm-e-virāsat huuñ pisar hote hue bhī
ye jabr-e-mashiyat hai kī tanhā.ī kī aadat
maiñ qaid huuñ dīvār meñ dar hote hue bhī
ham aise parindoñ kī hai ik peḌ se nisbat
uḌ kar kahīñ jaate nahīñ par hote hue bhī
har chiiz luTā denā faqīroñ kā hai sheva
kam-zarf haiñ kuchh sāhab-e-zar hote hue bhī
is des kā baasī huuñ kī jis des kā haarī
māyūs hai shāḳhoñ pe samar hote hue bhī
sūraj se kare dostī ik kor basar kyā
jalve kī nahīñ tāb-e-nazar hote hue bhī
kuchh haar ga.e jabr ke bā-vasf bhī zālim
kuchh jiit ga.e nezoñ pe sar hote hue bhī
tujh jaisā adad apne ta.iiñ kuchh bhī nahīñ hai
maiñ terī zarūrat huuñ sifar hote hue bhī
hañsnā mirī āñkhoñ kā gavārā nahīñ us ko
aur dekh nahīñ saktā hai tar hote hue bhī
phir dasht-navardī ne dikhā.ī ye karāmat
maiñ shahr meñ thā shahr-badar hote hue bhī
is baar the kuchh dost mire madd-e-muqābil
siine pe sahe vaar sipar hote hue bhī
aise bhī zabūñ-hāl ka.ī log haiñ 'kāshir'
be-ghar haiñ isī shahr meñ ghar hote hue bhī
Top Urdushayar.com