maiñ bikhar na jā.ūñ varaq varaq mujhe tāq-e-dil meñ sajā.iye
mirā harf harf hai be-bahā mujhe is tarah na miTā.iye
hai kudūratoñ ke hisār meñ ye mohabbatoñ kā hasīñ nagar
ye dayār-e-āb-e-hayāt hai ise sam-kada na banā.iye
koī aks tak na Thahar sakā mirī chashm-e-fikr-o-ḳhayāl meñ
abhī ajnabī se haiñ ḳhāl-o-ḳhad mujhe aa.ina na dikhā.iye
pas-e-zulm aap kī baḳhshisheñ ye ināyateñ ye saḳhvāteñ
koī maañg baiThe na ḳhūñ-bahā ye lahū ke daaġh chhupā.iye
ho diloñ meñ husn-e-qalandarī ho zabāñ pe na.ara-e-sarmadī
jo hilā de taḳht-e-sikandarī vahī kaj-kulāhī dikhā.iye
hai ḳhizāñ kī zad pe abhī talak ruḳh-e-'sumbul' dil-e-yāsmīñ
abhī intizār kā vaqt hai abhī jashn-e-gul na manā.iye