Sabiha Sumbul

guzre hain hum pe aise bhi lamhe kabhi kabhi

Sabiha Sumbul

Aligarh, Uttar pradesh, India

guzre haiñ ham pe aise bhī lamhe kabhī kabhī
dil ro paḌā hai sun ke latīfe kabhī kabhī
sahrā se tishnagī kā sabab pūchhte ho kyā
dariyā bhī ham ne dekhe haiñ pyāse kabhī kabhī
gum-karda rāh-e-zīst sahī is ke bāvajūd
pūchhe haiñ ham se ḳhizr ne raste kabhī kabhī
ai nā-ḳhudā-e-vaqt na itnā ġhurūr kar
Duube haiñ sāhiloñ pe safīne kabhī kabhī
har dil ko aap ā.ina-ḳhāna na jāniye
patthar se saḳht hote haiñ shīshe kabhī kabhī
'sumbul' huā hai ye bhī ki ġhazloñ ke ruup meñ
nāzil hue haiñ ham pe sahīfe kabhī kabhī
Top Urdushayar.com