kis kī ye siyāsat hai kis kī haiñ ye tadbīreñ
rahzanoñ ne paa.ī haiñ rahbaroñ kī taqdīreñ
mere ḳhvāb-e-vahshat kī jaane kyā hoñ ta.abīreñ
daar hai na zindāñ hai tauq hai na zanjīreñ
aap kī amānat haiñ aap hī miTā diije
ye nuqūsh ulfat ke ye vafā kī tahrīreñ
kah rahā hai sadiyoñ se taaj kā hasīñ chehra
fan agar mukammal ho boltī haiñ tasvīreñ
log jaane kyuuñ us ko kah rahe haiñ dīvāna
vo to apne ḳhvāboñ kī DhūñDhtā hai ta.abīreñ
luuT leñ na farzāne azmat-e-junūñ 'sumbul'
thak ga.e haiñ dīvāne so ga.ī haiñ zanjīreñ