Sabiha Sumbul

meri zindagi ki kitab ka hai har ek waraq yun saja hua

Sabiha Sumbul

Aligarh, Uttar pradesh, India

mirī zindagī kī kitāb kā hai har ik varaq yuuñ sajā huā
kahīñ āñsuoñ se likhā huā kahīñ shoḳhiyoñ se bharā huā
mirī ārzuoñ kī titliyāñ ye masal ke kaun chalā gayā
mirī jannateñ kahāñ gum huiiñ mire ḳhvāb-zāroñ kā kyā huā
vahī rañg-o-nūr kī bārisheñ vahī phuul haiñ vahī ḳhushbueñ
mire ham-safīr kahāñ ga.e mire ham-jalīsoñ kā kyā huā
kahīñ gum na ho ye rusūm meñ kahīñ kho na jaa.e hujūm meñ
ye mirī jabīn-e-niyāz par jo hai ek sajda sajā huā
tirī qurbateñ tirī chāhatīñ sabhī nafratoñ meñ badal ga.iiñ
maiñ to ibtidā se thī bevafā vo tirī vafāoñ kā kyā huā
mujhe gudgudātā hai aaj bhī tire ġhaur-o-fikr kā silsila
vo sharīr āñkheñ jhukī jhukī vo qalam laboñ meñ dabā huā
koī raushnī kī ramaq nahīñ na koī dhueñ kā nishān hai
ye diyā bhī 'sumbul' ajiib hai na jalā huā na bujhā huā
Top Urdushayar.com