ab charāġhoñ meñ zindagī kam hai
dil jalāo ki raushnī kam hai
tāb-e-nazzāra hai vahī lekin
un ke jalvoñ meñ dilkashī kam hai
badlā badlā mizāj hai us kā
us kī bātoñ meñ chāshnī kam hai
kaif-o-mastī surūr kyā ma.anī
zindagī meñ bhī ab ḳhushī kam hai
vaqt ne bhar diye haiñ zaḳhm 'majīd'
apnī āñkhoñ meñ ab namī kam hai