nikalne vaale na the zindagī ke khel se ham
ki chain khīñch ke utre the ḳhud hī rail se ham
rahā nahīñ bhī vo kartā to mas.ala nahīñ thā
farār yuuñ bhī to ho jaate us kī jail se ham
suḳhan meñ sho.abada-bāzī ke ham nahīñ qaa.il
bañdhe hue haiñ rivāyāt kī nakel se ham
jise bhī dekho lubhāyā huā hai duniyā kā
so bach ga.e haiñ miyāñ kaise is rakhel se ham
agar ye tai hai ki farhād-o-qais murda-bād
to baaz aa.e mohabbat kī dāġh-bel se ham
akele rahte to shāyad na dekhtā koī
sitāra ho ga.e ik raushnī ke mel se ham
ham aise peḌ bas itnī sī baat par ḳhush the
ki bel ham se lipaTtī hai aur bel se ham
ḳhudā ne qa.ar-e-falākat meñ ham ko jhoñk diyā
bigaḌ ga.e the suhūlat kī rel-pel se ham