jaanā kahāñ hai aur kahāñ jā rahe haiñ ham
apnoñ kī rahnumā.ī se ghabrā rahe haiñ ham
tum ne to ik nigāh uThā.ī hai is taraf
sau sau umīdeñ bāñdh ke itrā rahe haiñ ham
nākām ho ke apnī sadā lauT aa.egī
ye jaan kar bhī dasht meñ chillā rahe haiñ ham
sab apnī apnī raah par aage nikal ga.e
ab kis kā intizār kiye jā rahe haiñ ham
na jaane kis kī yaad ne lī dil meñ gudgudī
aa.ina dekh dekh ke sharmā rahe haiñ ham
duniyā ke kārobār se matlab nahīñ 'majīd'
dil ko ḳhayāl-e-yār se bahlā rahe haiñ ham