ahd-e-rafta kī hikāyat karbalā se kam na thī
zindagānī nasl-e-ādam par balā se kam na thī
ḳhuun ke dariyā kī lahroñ meñ bashar ġharqāb thā
vaqt kī raftār goyā bad-duā se kam na thī
phir rahe the hukmarāñ kashkol le kar dar-ba-dar
bandagī kī zāhirī sūrat gadā se kam na thī
har taraf ḳhūnīñ bhañvar har samt chīḳhoñ ke azaab
mauj-e-gul bhī ab ke dozaḳh kī havā se kam na thī
mābadoñ meñ jin ke īmāñ par lahū chhiḌkā gayā
un ke ḳhāl-o-ḳhat kī raunaq pārsā se kam na thī
zulm ke ifrīt ne shahroñ ko vīrāñ kar diyā
yuuñ to barbādī jahāñ meñ ibtidā se kam na thī
aisī zālim dāstāneñ kaan meñ paḌtī rahīñ
haisiyat jin kī tilismī mājrā se kam na thī
jaane kis gardāb-e-zulmat meñ Duboyā hai unheñ
jin kī raushan rahnumā.ī nāḳhudā se kam na thī