Nazish Partap Gadhi

dil-e-KHulus-gazida ko koi kya jaane

Nazish Partap Gadhi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1924-1984
dil-e-ḳhulūs-gazīda ko koī kyā jaane
maiñ chāhtā huuñ ki duniyā mujhe na pahchāne
suno na merī shikasta-e-dilī ke afsāne
ki mere sāmne toḌe ga.e haiñ paimāne
jo kah rahā thā to kuchh bhī sunā na duniyā ne
jo chup huā huuñ to banñe lage haiñ afsāne
vo ġham sameT liye maiñ ne zindagī ke liye
tirī nigāh-e-karam bhī jinheñ na pahchāne
guzar ga.e haiñ vo lamhe bhī ishq meñ ai dost
tire baġhair bhī jab ḳhush rahe haiñ dīvāne
ye chāñdnī ye sitāre kahāñ ga.e āḳhir
nazar to ḳhair ga.ī hai kisī ko pahuñchāne
mirī hañsī meñ magar zahr ghul gayā 'nāzish'
maiñ chāhtā thā mirā ġham koī na pahchāne
Top Urdushayar.com