kuchh duur saath gardish-e-shām-o-sahar ga.ī
phir us ke ba.ad zindagī jaane kidhar ga.ī
apnoñ kī bevafā.ī baḌā kaam kar ga.ī
is aag meñ hayāt tapī aur nikhar ga.ī
bedārī-e-bahār-e-nazar hī kī der thī
phir jo bhī chiiz sāmne aa.ī sañvar ga.ī
ab kostā huuñ puḳhtagī-e-tajrabāt ko
jo mujh ko har aziiz se begāna kar ga.ī
allāh re junūn-e-tajassus ke marhale
merī nigāh tujh pe bhī ho kar guzar ga.ī
us par nazar uThā ke maiñ 'nāzish' jo ruk gayā
mahsūs ho rahā hai ki duniyā Thahar ga.ī