be-chehragī-e-ġham se pareshān khaḌe haiñ
ham phir bhī vo zālim haiñ ki jiine par aḌe haiñ
ġham se jo buland aur masarrat se baḌe haiñ
aise bhī ka.ī daaġh mire dil pe paḌe haiñ
tārīḳh ke safhoñ pe jo insān baḌe haiñ
un meñ bahut aise haiñ jo lāshoñ pe khaḌe haiñ
kyā kyā na hameñ ghar kī udāsī se gila thā
ab shahr se nikle haiñ to hairān khaḌe haiñ
aa.ī na shikan merī jabīñ par rah-e-ġham meñ
kuchh aable paḌne the so talvoñ meñ paḌe haiñ
yādoñ ke ghane shahr meñ kyūñkar koī nikle
har fard ke pīchhe ka.ī afrād khaḌe haiñ
ronā to ye hai halqa-e-zanjīr kī sūrat
hālāt ke pairoñ meñ hamīñ log paḌe haiñ
sūraj jo chaḌhegā to simaT jā.eñge ye log
saa.e kī tarah qad se jo do haath baḌe haiñ
ham par jo guzartī hai use kis ko batā.eñ
tanhā.ī kī āġhosh meñ sadiyoñ se paḌe haiñ
hālāt ke pathrāv se bach nikleñ to jaano
shīshe kī tarah ham bhī framoñ meñ jaḌe haiñ
is daur-e-ḳhirad kā ye alamiyya hai ki insān
aap apnī hī lāsheñ liye kāñdhoñ pe khaḌe haiñ
sadiyāñ haiñ ki guzrī hī chalī jaatī haiñ 'nāzish'
haiñ roz-o-mah-o-sāl ki chup-chāp khaḌe haiñ