Nazish Partap Gadhi

sar-phire karne lage hain jazb soz-e-dil ki baat

Nazish Partap Gadhi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1924-1984
sar-phire karne lage haiñ jazb soz-e-dil kī baat
ab ḳhudā rakkhe to rakkhe aap kī mahfil kī baat
qāfile vaalo ab aao aur aage baḌh chaleñ
khā chuke rahbar kā dhokā jaan lī manzil kī baat
kitnī nafrat ho rahī hai sūrat-e-sāhil se ab
kitnī hasrat se kiyā karte the ham sāhil kī baat
ho ke barham uThne vaale haiñ vo saare tishna-lab
aa.ī hai hisse meñ jin ke sāqi-e-mahfil kī baat
ḳhud hī ab raushan kareñge apne ġham-ḳhāne ko ham
dekh lī taaro tumhārī sa.i-e-lā-hāsil kī baat
saare ammāl-e-hukūmat mujh se bad-zan ho ga.e
kar rahā thā ek din maiñ bismil-o-qātil kī baat
soch ai 'nāzish' na ho ye bhī farārī zehniyat
kar rahā hai ahd-e-hāzir meñ jo mustaqbil kī baat
Top Urdushayar.com