ab ke baras huuñ jitnā tanhā
pahle kahāñ thā utnā tanhā
duniyā ek samundar jis meñ
maiñ huuñ koī jazīra tanhā
ziist safar hai tanhā.ī kā
aanā tanhā jaanā tanhā
us ko batāo jism se kaT kar
rah nahīñ saktā saaya tanhā
uf ye mauj-e-tūfān-e-alam
haa.e dil kā safīna tanhā
jis ko chāhā jaan se baḌh kar
āḳhir us ne chhoḌā tanhā
ghar se bāhar niklo kisī din
itnā bhī kyā rahnā tanhā
ab vo kahīñ aur maiñ huuñ kahīñ
umr kaTegī tanhā tanhā
'kāshir' kī hai apnī hī duniyā
hogā kahīñ par baiThā tanhā