vo samajhtā hai use jo rāz-dār-e-naġhma hai
aah kahte haiñ jise sirf ik sharār-e-naġhma hai
munhasir jis par azal se kārobār-e-naġhma hai
dard kī āñkhoñ meñ vo ḳhvāb-e-bahār-e-naġhma hai
zinda rahne kī tamannā ho to phir kyā kuchh na ho
dil ke sannāTe pe mujh ko e'tibār-e-naġhma hai
kis se kiije aur kyuuñ kiije bayān-e-soz-e-dil
ye bharī duniyā to yaaro pāsdār-e-naġhma hai
aur bhī do-gām ai mahrūm-e-aish-e-zindagī
hadd-e-girya se zarā aage dayār-e-naġhma hai
naġhma-zan huuñ yuuñ ki yāroñ kā bharam qaa.em rahe
varna mahfil kī fazā nā-sāz-gār-e-naġhma hai
ab hai lahje meñ nukīlā-pan laboñ par zahr-e-ḳhand
ab yaqīñ aayā ki 'nāzish' rāz-dār-e-naġhma hai