Nazish Partap Gadhi

aah ko naghma ki naghme ko fughan karna paDe

Nazish Partap Gadhi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1924-1984
aah ko naġhma ki naġhme ko fuġhāñ karnā paḌe
dekhiye kyā kuchh barā.e dostāñ karnā paḌe
ahl-e-mahfil ġhaur se sunte raheñ rūdād-e-dil
kyā ḳhabar kis lafz ko kab dāstāñ karnā paḌe
rakh jabīn-e-shauq meñ mahfūz garmī-e-niyāz
kaun jaane tujh ko ik sajda kahāñ karnā paḌe
pūchhiye us se zabān-o-lafz kī majbūriyāñ
jis ko hāl-e-dil nigāhoñ se bayāñ karnā paḌe
kuchh vahī samjhegā 'nāzish' aaj ke māhaul ko
jis ko zindāñ par yaqīn-e-gulsitāñ karnā paḌe
Top Urdushayar.com