Nazish Partap Gadhi

zikr-e-nashat KHalwat-e-gham mein bura lage

Nazish Partap Gadhi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1924-1984
zikr-e-nashāt ḳhalvat-e-ġham meñ burā lage
tum bhī agar milo to mujhe hādisa lage
jab bhī kisī kī sa.i-e-karam kī havā lage
mujh ko mirā vajūd bikhartā huā lage
huuñ mujrim-e-hayāt mujhe kyuuñ burā lage
ye daur-e-zindagī jo musalsal sazā lage
is daur kā nasīb hai vo manzil-e-hayāt
ahbāb kā ḳhulūs jahāñ sāneha lage
hālāt saañs lete haiñ dahshat kī chhāñv meñ
merā zamīr mujh hī se Dartā huā lage
yuuñ uTh ga.ī hai dahr se apnā.iyat ki ab
miliye jo ḳhud se bhī to koī dūsrā lage
is tarah rā.egāñ ga.ī 'nāzish' mirī vafā
jaise kisī faqīr ke dar par sadā lage
Top Urdushayar.com