ehsās kī dīvār girā dī hai chalā jā
jaane ke liye yaar jagah dī hai chalā jā
ai qais-numā shaḳhs yahāñ kuchh nahīñ terā
tujh naam kī sahrā meñ munādī hai chalā jā
duniyā to chalo ġhair thī shikva nahīñ us se
tū ne bhī to auqāt dikhā dī hai chalā jā
tā koī bahāna tire pairoñ se na lipTe
dīvār se tasvīr haTā dī hai chalā jā
yak-tarfa mohabbat kā ḳhasārā hai muqaddar
tujh ḳhvāb kī ta.abīr batā dī hai chalā jā
ham aise faqīroñ meñ nahīñ māda-parastī
terā to miyāñ sher bhī maadī hai chalā jā
hai kaun rukāvaT jo tujhe rok rahī hai
maiñ ne to mirī zaat bhī Dhā dī hai chalā jā
is shahr ke logoñ meñ nahīñ quvvat-e-bardāsht
ye shahr to saarā hī fasādī hai chalā jā
dastak ke liye uTThā huā haath na girtā
ḳhāmoshī ne ta.azīr sunā dī hai chalā jā
kuchh 'jaun' qabīle se nahīñ terā ta.alluq
har laḌkī yahāñ fāriha-zādī hai chalā jā
jaanā tirī fitrat hai bulānā mirī qismat
to aa ke chale jaane kā aadī hai chalā jā
lagtā hai tū kābul meñ nayā aayā hai pyāre
afġhān kā bachcha bhī jihādī hai chalā jā
ai mom-badan terā guzārā nahīñ mumkin
ye aag meñ jaltī huī vaadī hai chalā jā
afsos bahut der se aayā hai tū 'kāshir'
is pāñch may ko mirī shādī hai chalā jā