Waqif rae Barelvi

lahu lahu sa dil-e-dagh-dar le ke chale

Waqif rae Barelvi

lahū lahū sā dil-e-dāġh-dār le ke chale
chaman se tohfa-e-fasl-e-bahār le ke chale
ruke to sāya-e-abr-e-bahār ban ke ruke
chale to gardish-e-lail-o-nahār le ke chale
sunā hai husn kī mahfil meñ pyaar biktā hai
kaho ki ishq bhī dāman ke taar le ke chale
kaho sabā se ki baiThe haiñ riñd jām-ba-kaf
chaman meñ qāfila-e-nau-bahār le ke chale
vafā kī raah meñ sab kuchh luTā diyā ham ne
hamīñ ko ahl-e-vafā sū-e-dār le ke chale
kahīñ to dil ko milegā sukūn-e-ahl-e-junūñ
chalo jahāñ bhī dil-e-be-qarār le ke chale
unheñ to Duub hī jaanā hai ek din 'vāqif'
jo sochte haiñ hameñ koī paar le ke chale
Top Urdushayar.com