khel maujoñ kā ḳhatarnāk sahī kyā maiñ is khel se Dar jā.ūñgā
phir koī lahar pukāregī phir maiñ dariyā meñ utar jā.ūñgā
ḳhūb-sūrat haiñ ye āñkheñ lekin kyā maiñ āñkhoñ meñ Thahar jā.ūñgā
ḳhvāb kī tarah se dekhā hai tumheñ ḳhvāb kī tarah bikhar jā.ūñgā
shakl ban jā.ūñgā bādal meñ kabhī purvā meñ ubhar jā.ūñgā
maiñ kisī yaad kā jhoñkā ban kar tere āñgan se guzar jā.ūñgā
ye mohabbat mujhe tāqat degī hausla degī ye himmat degī
raushnī terī nazar se le kar har añdhere se guzar jā.ūñgā
koī maqsad na koī mustaqbil koī sāthī na hai koī manzil
tum ko jaanā hai jahāñ tum jaao kyā batā.ūñ maiñ kidhar jā.ūñgā
kyuuñ nahīñ mujh ko bhī pyārā hai vatan hai magar saarī zamīñ apnā chaman
kisī āñgan meñ khilā huuñ 'vāqif' kisī dhartī pe bikhar jā.ūñgā