mire haal se nahīñ be-ḳhabar mirā kūza-gar
ki hai shāh-rag se qarīb-tar mirā kūza-gar
kabhī baḳhsh de mire ḳhadd-o-ḳhāl ko tāzgī
kabhī noch le mire bāl-o-par mirā kūza-gar
kahīñ jān-e-jāñ kahīñ mehrbāñ kahīñ rāz-dāñ
kahīñ nukta-bīñ kahīñ nukta-var mirā kūza-gar
mirī ḳhūbiyoñ mirī ḳhāmiyoñ se hai be-ḳhabar
nahīñ be-basar nahīñ kam-nazar mirā kūza-gar
mirā aa.ina kabhī sañg-o-ḳhisht meñ Dhaal de
kabhī toḌ de mujhe joḌ kar mirā kūza-gar
mujhe aise lagtā hai mere jism kī ḳhaak ko
abhī aur rakkhegā chaak par mirā kūza-gar
mujhe rāstoñ kī sa.ūbatoñ se nahīñ ḳhatar
mire saath hai mirā ham-safar mirā kūza-gar
vahī zaḳhm de vahī zaḳhm-e-dil kī davā kare
mirā mehrbāñ mirā chāra-gar mirā kūza-gar