zindagī ġham kī aañch sah koī
yuuñ jalī yuuñ bujhī ki dhuul huī
ham ne bhī jashn-e-gul ko dekhā thā
aaj tak sochte haiñ bhuul huī
kyā kareñ apnī is tabī.at ko
aap se mil ke bhī malūl huī
husn-e-shīrīñ rahā shikār-e-havas
jehd-e-farhād be-husūl huī
ham haiñ vo kushtagān-e-shauq jinheñ
sohbat-e-dār bhī qubūl huī
le sambhal zulmatoñ ke rakhvāle
apnā ab raushnī usuul huī
kis ko hañstā milā chaman meñ 'riyāz'
ġhunchagī kis kī khil ke phuul huī