kyā kyā mohabbatoñ ke zamāne badal ga.e
ab tum kabhī mile ho to aañsū nikal ga.e
fart-e-ġham-e-havādis-e-daurāñ ke bāvajūd
jab bhī tire dayār se guzre machal ga.e
maiñ nukta-chīñ nahīñ huuñ magar ye batā.iye
vo kaun the jo hañs ke guloñ ko masal ga.e
kuchh dast-e-gul-farosh meñ sañvlā ke rah ga.e
kuchh bāġhbāñ kī barq-navāzī se jal ga.e
tum ne hameñ fareb-e-qayādat diyā to hai
lekin kabhī huā hai ki tūfān Tal ga.e
ik vo bhī the jo bah ga.e maujoñ ke saath saath
ik ham bhī haiñ jo khā ke thapeḌe sambhal ga.e