Ahmad Riyaz

ba-wasf-e-shauq bhi dil ka kaha nahin karte

Ahmad Riyaz

ba-vasf-e-shauq bhī dil kā kahā nahīñ karte
faroġh-e-qāmat-o-ruḳh kī sanā nahīñ karte
shikast-e-ahd-e-sitam par yaqīn rakhte haiñ
ham intihā-e-sitam kā gilā nahīñ karte
kuchh is tarah se luTī hai matā-e-dīda-o-dil
ki ab kisī se bhī zikr-e-vafā nahīñ karte
isī liye haiñ sazāvār-e-jaur-e-barq-e-sitam
ki haqq-e-ḳhidmat-e-gulchīñ adā nahīñ karte
mazāq-e-kohkanī ho ki dasht-paimā.ī
jinheñ tumhārī talab ho vo kyā nahīñ karte
vo āshnā-e-ġham-e-kā.ināt kyā hoñge
jo ḳhud ko aap kā dard-āshnā nahīñ karte
ġham-e-habīb ġham-e-zindagī ġham-e-daurāñ
kisī maqām pe ham jī burā nahīñ karte
Top Urdushayar.com