ham hī badleñge rah-o-rasm-e-gulistāñ yaaro
ham se vābasta hai ta.amīr-e-bahārāñ yaaro
qurbat-e-kākul-o-ruḳhsār se jī tañg nahīñ
ik zarā chain to de gardish-e-daurāñ yaaro
laakh ham marhala-e-dār-o-rasan se guzre
zindagī se na hue phir bhī gurezāñ yaaro
ik thakā ḳhvāb ki siine meñ sulagtā hai abhī
ik dabī yaad ki hai nīsh-e-rag-e-jāñ yaaro
āmad-e-sub.h se māyūs nahīñ haiñ lekin
Das na le tīrgī-e-shām-e-ġharībāñ yaaro
aur kuchh duur ki thoḌī hai rah-e-jaur-o-sitam
aur kuchh der ki TuuTā dar-e-zindāñ yaaro
apnā dukh ho to 'riyāz' us kā mudāvā karte
haiñ sabhī sho.ala-ba-jāñ chāk-e-garebāñ yaaro