ḳhūbāñ ke biich jānāñ mumtāz hai sarāpā
andāz-e-dilbarī meñ ejaaz hai sarāpā
pal pal maTak ke dekhe Dag Dag chale laTak ke
vo shoḳh chhal chhabīlā tannāz hai sarāpā
tirchhī nigāh karnā katrā ke baat sunñā
majlis meñ āshiqoñ kī andāz hai sarāpā
nainoñ meñ us kī jaadū zulfāñ meñ us kī phandā
dil ke shikār meñ vo shahbāz hai sarāpā
ġhamza nigah taġhāful añkhiyāñ siyāh o chanchal
yā rab nazar na laage andāz hai sarāpā
us ke ḳhirām uupar tā.ūs mast haigā
vo miir dil-rabābī tannāz hai sarāpā
kisht-e-ummīd kartā sarsabz sabza-e-ḳhat
anjām-e-husn us kā āġhāz hai sarāpā
vaqt-e-nazāra 'fā.ez' dildār kā yahī hai
bistar nahīñ badan par tan-bāz hai sarāpā