sajan mujh par bahut nā-mehrbāñ hai
kahāñ vo āshiqāñ kā qadar-dāñ hai
kahūñ ahvāl dil kā us ko kyūñkar
bahut nāzuk-mizāj o bad-zabāñ hai
mirā dil band hai us nāznīñ par
ajab us ḳhush-liqā meñ ek aañ hai
bhavāñ shamshīr haiñ o zulf phāñsī
har ik palak us kī mānind-e-sināñ hai
ḳhudā us ko rakkhe duniyā meñ mahfūz
nihāl-e-ārzū ārām-e-jāñ hai
chandr be-vaqar hai us badr aage
safā us mukh kī har ik par ayaañ hai
samajhtā hai tire ash.ār 'fā.ez'
ḳhudā ke fazl suuñ vo nukta-dāñ hai