jān-e-ayyām-e-dilbarī hai yaad
sair-e-gul-zār-o-mai-ḳhorī hai yaad
dekhtā nahiñ suraj kuuñ nazrāñ bhar
jis kuuñ tujh jāma-e-zarī hai yaad
ḳhuub phūlī thī baaġh meñ nargis
gul-e-sad-barg-o-jāfarī hai yaad
vo charāġhāñ o chāñdnī kī raat
sair-e-hat-phūl o phuljhaḌī hai yaad
vo tamāshā o khel holī kā
sab ke tan raḳht-e-kesarī hai yaad
ho divānā jañgal meñ kyuuñ na phire
jis ko vo sāya-e-parī hai yaad
ai siyah mast merī añkhiyoñ kī
laal bādal kī tujh jhurī hai yaad
jab tuman paas 'fā.ez' aayā thā
baat kahnā bī sarsarī hai yaad