dhuup sā u kapūl naarī hai
kiran sūraj kī vo kanārī hai
chhup raqībāñ suuñ aanā nahiñ vo chāñd
kyā rain hijr kī añdiyārī hai
nahiñ asar kartā sabr kā marham
dil-e-āshiq meñ zaḳhm kaarī hai
gul-e-bāġh-e-junūñ hai rusvā.ī
izzat-e-mulk-e-ishq ḳhvārī hai
ḳhūn-e-dil bāda-o-jigar hai kabāb
naġhma-e-bazm-e-vasl zaarī hai
lailā majnūñ kā zikr sard huā
ab tumhārī hamārī baarī hai
milnā āshiq suuñ hī bahāne suuñ
ye nasīhat tuman hamārī hai
mujh kuuñ mat jaano yaad suuñ ġhāfil
raat din dil kuuñ lau tumārī hai
dil bañdhā saḳht terī zulfāñ par
aql 'fā.ez' kī un bisārī hai