sar pe ik sā.ebāñ to rahne de
jal gayā ghar dhuāñ to rahne de
sochtā huuñ ki maiñ bhī zinda huuñ
mujh ko itnā gumāñ to rahne de
ruḳh havā kā badal hī jā.egā
bādbāñ pur-fishāñ to rahne de
gard itnī uḌā na rāhoñ meñ
paañv ke kuchh nishāñ to rahne de
aañkh se chhin ga.e sabhī manzar
lab pe ik dāstāñ to rahne de
manziloñ kā patā mile na mile
shāmil-e-kārvāñ to rahne de