merī jaañ vo bāda-ḳhvārī yaad hai
vaqt-e-mastī girya-zārī yaad hai
motiyā kā haar o champā kī chhaḌī
joḌā-e-dāman-kinārī yaad hai
sab abhūkan tere tan par ḳhushnumā
ḳhūbī-e-añgiyā o saarī yaad hai
abr kā saaya o sabza raah kā
jān-e-man rath kī savārī yaad hai
ko.elāñ ke naale amrā.ī ke biich
us samay kī be-qarārī yaad hai
meñh bī to Tapkatā thā buuñd buuñd
'fā.ez' us din kī savārī yaad hai