mujh paas kabhī vo qad-e-shamshād na aayā
is ghar mane vo dil-bar-e-ustād na aayā
gulshan mirī añkhiyāñ meñ lage gulḳhan-e-dozaḳh
jo sair ko mujh saath parī-zād na aayā
sāñjh aa.ī diyo din bī huā fikr meñ āḳhir
vo dil-bar-e-jādū-gar-o-sayyād na aayā
aayā na haman paas kiyā va.ada-ḳhilāfī
'fā.ez' kā kuchh ahvāl magar yaad na aayā