jāgīr agar bahut na milī ham kuuñ ġham nahīñ
hāsil hamāre mulk-e-qanā.at kā kam nahīñ
is saath mah-ruḳhāñ ko nahīñ kuchh barābarī
yūsuf se ye nigār-e-parī-zād kam nahīñ
ḳhush-sūratāñ se kyā karūñ maiñ āshnā.ī ab
mujh ko to in dinoñ meñ mayassar diram nahīñ
dil bāñdhte nahīñ haiñ hamāre milāp par
mah-tal.atāñ meñ mujh ko to ab kuchh bharam nahīñ
milte ho sab ke jā ke ghar aur ham suuñ ho kanār
kuchh ham to un chakoroñ se ai maah kam nahīñ
zāhir ke dost aate nahīñ kaam vaqt par
talvār kaaT kyā kare jis ko jo dam nahīñ
'fā.ez' ko bhāyā misra-e-'yakrañg' ai sajan
gar tum miloge un setī dekhoge ham nahīñ