tirī gaalī mujh dil ko pyārī lage
duā merī tujh man meñ bhārī lage
tadī qadr-e-āshiq kī būjhe sajan
kisī saath agar tujh kuuñ yaarī lage
bhulā deve vo aish-o-ārām sab
jise zulf siiñ be-qarārī lage
nahīñ tujh sā aur shoḳh ai man hiran
tirī baat dil ko nyārī lage
bhavāñ terī shamshīr zulfāñ kamand
palak terī jaise kaTārī lage
hue sarv bāzār dāman kā dekh
agar gard-e-dāman kanārī lage
na jānūñ tū saaqī thā kis bazm kā
nayan terī mujh kuuñ ḳhumārī lage
vahī qadr 'fā.ez' kī jaane bahut
jise ishq kā zaḳhm kaarī lage