jab sajīle ḳhirām karte haiñ
har taraf qatl-e-ām karte haiñ
mukh dikhā chhab banā libās sañvār
āshiqoñ ko ġhulām karte haiñ
ye chakore mil us sirījan suuñ
raat din apnā kaam karte haiñ
yaar ko āshiqān-e-sāhab-fan
ek dekhe meñ raam karte haiñ
gardish-e-chashm suuñ sirījan sab
bazm meñ kār-e-jām karte haiñ
ye nahīñ nek taur ḳhūbāñ ke
āshnā.ī ko aam karte haiñ
jī ko karte haiñ āshiqāñ taslīm
jab vo hañs kar salām karte haiñ
murġh-e-dil ke shikār karne kuuñ
zulf o kākul ko daam karte haiñ
shoḳh merā butāñ meñ jab jaave
us ko apnā imaam karte haiñ
ḳhūb-rū āshnā haiñ 'fā.ez' ke
mil sabī raam raam karte haiñ