Faez Dehlvi

tujh badan par jo lal sari hai

Faez Dehlvi

1690-1737
tujh badan par jo laal saarī hai
aql us ne mirī bisārī hai
baal dekhe haiñ jab suuñ maiñ tere
zulf sī dil kuuñ be-qarārī hai
qad alif sā huā mirā jiyūñ daal
ishq kā bojh saḳht bhārī hai
sab ke siine ko chhed Daalā hai
palk terī magar kaTārī hai
oḌhnī uudī par kanārī zard
gird shab ke suraj kī dhārī hai
qahr o lutf o tabassum-o-ḳhanda
terī har ik adā piyārī hai
tirchhī nazrāñ suuñ dekhnā hañs hañs
mor se chaal tujh niyārī hai
zinda 'fā.ez' kā dil huā tujh suuñ
husn terā bī faiz-e-bāī hai
Top Urdushayar.com